Saare Jag Ka Hai Wo Rakhwala
Aarde Lyrics
Saare jag ka hai wo rakhwala,
ho bhole Shankar hai jag se nirala,
Bol bum, bol bum, bol bum tadak bum
Ek chor chala shiv mandir mein, paap tha uske andar mein,
Ghanta aaya usey nazar, jo tha laga shiv ke upar,
Lekin tha kaafi unchey, us tak wo kaise pahunchey, ho ooooo
Kaisa lalach ne chakkar mein dala.
Saare jag ka hai wo rakhwala,
ho bhole Shankar hai jag se nirala,
Bol bum, bol bum, bol bum tadak bum
Bol bum, bol bum, bol bum tadak bum
Upaay samajh jab aaya hai, chor khada muskaya hai,
Shiv murat par chadkar, haath lagaya ghante par,
Ghanta ghanan ghan bol utha, chor ka manwa dol utha, ho oooo
Wahan pragat hua damroo wala
Saare jag ka hai wo rakhwala, ho bhole Shankar hai jag se nirala,
Maang maang bole Shankar, le le tu manchaha var,
Chor khada kanpe thar thar, dekh raha idhar udhar,
Main to chor uchakka hoon,jhotha kapaty pucca hoon, ho oooo
Baba sachmuch hai tu bhola bhala
Saare jag ka hai wo rakhwala, ho bhole Shankar hai jag se nirala,
Bol bum, bol bum, bol bum tadak bum
Koi modak mewa lataa hai, koi chandan mujhpe chadata hai,
Par tu ne apna tan, kar dinha mujhpe arpan
Tu bhakt hai mera chor nahi, tere jaisa aur nahin, ho ooo
Jhat boley yun deen dayala
Saare jag ka hai wo rakhwala, ho bhole Shankar hai jag se nirala,
Bol bum, bol bum, bol bum tadak bum
Shankar antardhaan hua, chor ko tab ye gyan hua,
Chod kar bure dhandhey, shiv ka pucca bhagat bana,
Tarachand ‘bhi das tera, kasht haro shiv tum mera, oooo ho
Nisidin japoon tumhari mala
Saare jag ka hai wo rakhwala, ho bhole Shankar hai jag se nirala,
Bol bum, bol bum, bol bum tadak bum